Showing posts with label Maili Chadar Odh ke kaise. Show all posts
Showing posts with label Maili Chadar Odh ke kaise. Show all posts

Friday, February 28, 2014

Maili Chadar oodhke jaise - Hindi and English Lyrics



मैली चादर ओढ़ के कैसे
Maili Chadar Odh Ke Kaise

Video
 


Hindi Lyrics
मैली चादर ओढ़ के कैसे, द्वार तुम्हारे आऊँ ।
हे पावन परमेश्वर मेरे, मन ही मन शरमाऊं ॥ 
मैली चादर...

तूने मुझको जग में भेजा, निर्मल देकर काया । 
आकर के संसार में मैंने, इसको दाग लगाया । 
जनम जनम की मैली चादर, कैसे दाग छुड़ाऊं ॥ 
मैली चादर...

 निर्मल वाणी पाकर मैने, नाम न तेरा गाया । 
नयन मूंद कर हे परमेश्वर, कभी न तुझको ध्याया । 
मन वीणा की तारें टूटीं, अब क्या गीत सुनाऊं ॥ 
मैली चादर...

 इन पैरों से चल कर तेरे मन्दिर कभी न आया । 
जहां जहां हो पूजा तेरी, कभी न शीश झुकाया । 
हे हरि हर, मैं हार के आया, अब क्या हार चढ़ाऊं ॥
मैली चादर....


English Lyrics

Maili chaadar odhke kaise Dwaar tumhaare aaoon 
Hey paavan parameshwara mere Man hi man sharmaaoon 
 [maili chaadar …] 

Tune mujhko jag me bhejaa Nirmal dekar kaayaa 
Is sansaar me aakar maine Isko daag lagaaya 
Janam janam ki maili chaadar Kaise daag chudaaoon 
 [maili chaadar …] 

Nirmal vaani paakar tujhse Naam na teraa gaayaa 
Nain moondhkar he parameshwar Kabhi naa tujhko dhyaayaa 
Man veena ki taaren tooti Ab kyaa geeth sunaaoon 
[maili chaadar …] 

In pairon se chal kar tere Mandir kabhi na aayaa 
Jahaan jahaan ho poojaa teri Kabhi naa sees jhukaayaa 
Hey harihar main haar ke aayaa Ab kyaa haar chadhaaoon 
 [maili chaadar …]